Soch ...
Ab aati nahi
Lafz murjhaye
Kyariyon me muh chhupaye baithe hain
Asmaan sar par chadha baitha hain
Shaam dhalti hain
Kadmo ko wapas ghar le aane ko
Bhor hoti nahi
Bas din chadhta hain ...
Yaadein yaad nahi aati
Saanso ka hissa hi gayi hain
Dard ab teesta nahi
Saath chalta hain ...
Ascharya hain mujhe tumne kaese
Inse kavitaao ki imaratein laga di
Unme logo ko bitha diya
Sabki jgahe bana di
Anubhuti aur sahanabhuti
Ki ret lagao
Tum hi likho geet
Tum nazmo ke pahad lagao
Mre liye ab bas ye cigrette ke dhuye jaesa hain
Ek kash lekar
Jahan me apne dard tak khicho
Aur fir jamane ke muh pe ura do ...
- Anvita
Ab aati nahi
Lafz murjhaye
Kyariyon me muh chhupaye baithe hain
Asmaan sar par chadha baitha hain
Shaam dhalti hain
Kadmo ko wapas ghar le aane ko
Bhor hoti nahi
Bas din chadhta hain ...
Yaadein yaad nahi aati
Saanso ka hissa hi gayi hain
Dard ab teesta nahi
Saath chalta hain ...
Ascharya hain mujhe tumne kaese
Inse kavitaao ki imaratein laga di
Unme logo ko bitha diya
Sabki jgahe bana di
Anubhuti aur sahanabhuti
Ki ret lagao
Tum hi likho geet
Tum nazmo ke pahad lagao
Mre liye ab bas ye cigrette ke dhuye jaesa hain
Ek kash lekar
Jahan me apne dard tak khicho
Aur fir jamane ke muh pe ura do ...
- Anvita
Comments
Post a Comment