दुकान में तह लगा एक सफेद कुर्ता उचक कर दुकानदार के सामने आ गिराऔर नाराजगी से कहा"मुझे तुम होली में भी बेच रहे ईद में भी बेच रहे,मुझे भी कोई रंग और पहचान दो" दुकानदार ने उसे कहा...
Posts
Showing posts from 2019
- Get link
- X
- Other Apps
Ho sakta tha ki koi sadak dono shahro ke bich Chali aati .... Aur koi chhat dhal aati ... Ho sakta tha ... Kitne saalo se ... Jab pal do pal Ko b tumhara Saamna hota h... To ye "ho skata tha" Bejubaan sa saamne hamare chala aata hain ... Fir jo kuch b Hoti hain baatein... Desh ... Videsh... Waqt ... Halatein ... Sabke bich se jhakta rahta hain ye "ho Sakta tha" Par ye huaa nahi ... Aur bas ye baat Gunjaaisho ke kore panno par mera aur tumhaar Naam likh kar chhoti chhoti baato or yaado ki fehrist banakar bas simat jaati hain ... Ho sakta tha ... Ki kuch aur likha hota iske aage ...
- Get link
- X
- Other Apps
Maine tumhe aur tumne mujhko waise hi chaha Jaise najre pahchan leti hain dusri najar Ko Man ki gahraayi tak.. Maine tumhe aur tumne mujhe ... Aise hi nishabd Sweekar Liya Jaise Saagar sweekar leta hain Nadi Ko Tum.me main aur mujhe tum panap uthe aise ... Jaise prakriti paalti hain Jeevan Ko ... Par ab kitna shor sharaba hain ... Jab se maine aur tumne saath Is duniya ki kor pakar li hain Ab Shabd to hain par wo baat nahi hain ... Najar to hain par ahsaas nahi hain... Ab apekshaao ki lambi deewaarein hain... Ab naapne Ko mujhe tumhare paas bhi dunia ka lekha jokha hain... Aur mere paas b puraani Kasi huyi aasteen hain Jo is dhaanche par fit baithegi nahi ... Ab main samjhau bhi tumhe to ye baat kaise samjhau ... Ki in dhaancho se jo purvagraho ki dhundh utthi hain... Wo kabhi chhategi nahi Aur meri baat kabhi tum tak pahichegy nahi...